is tarah deñge vasl meñ takrār kā javāb
marnā hamārā hai tire inkār kā javāb
aisā lagāyā haath ki tasma nahīñ rahā
duniyā meñ ab nahīñ tirī talvār kā javāb
bulbul zarā idhar bhī vahī naġhma-sanjiyāñ
siina hamārā hai tire gulzār kā javāb
ushshāq jaan bechne aate haiñ roz-o-shab
kūcha hai terā misr ke bāzār kā javāb
be-ḳhud huā na raaz khulā is kā sāqiyā
mai-ḳhvāroñ meñ nahīñ tire mai-ḳhvār kā javāb
talvoñ meñ chubh ke ḳhuun se gulnār ho gayā
gulshan meñ gul bhī hai koī is ḳhaar kā javāb
qātil ke haath uThāte hī bijlī chamak ga.ī
talvār se milā use talvār kā javāb
surma lagā rahā thā ki merī nazar paḌī
ā.īne meñ milā nigah-e-yār kā javāb
merī to zindagī meñ na va.ada vafā huā
ik hashr rah gayā tire iqrār kā javāb
nāseh ne kī nasīhateñ phir chup hī ho gayā
kal shab ko sun ke tere vafādār kā javāb
ye shā.irī kā ḳhabt hai ḳhāmosh ai 'shafīq'
bekār kā savāl hai bekār kā javāb
is tarah denge wasl mein takrar ka jawab
marna hamara hai tere inkar ka jawab
aisa lagaya hath ki tasma nahin raha
duniya mein ab nahin teri talwar ka jawab
bulbul zara idhar bhi wahi naghma-sanjiyan
sina hamara hai tere gulzar ka jawab
ushshaq jaan bechne aate hain roz-o-shab
kucha hai tera misr ke bazar ka jawab
be-KHud hua na raaz khula is ka saqiya
mai-KHwaron mein nahin tere mai-KHwar ka jawab
talwon mein chubh ke KHun se gulnar ho gaya
gulshan mein gul bhi hai koi is KHar ka jawab
qatil ke hath uThate hi bijli chamak gai
talwar se mila use talwar ka jawab
surma laga raha tha ki meri nazar paDi
aaine mein mila nigah-e-yar ka jawab
meri to zindagi mein na wada wafa hua
ek hashr rah gaya tere iqrar ka jawab
naseh ne ki nasihaten phir chup hi ho gaya
kal shab ko sun ke tere wafadar ka jawab
ye shairi ka KHabt hai KHamosh ai 'shafiq'
bekar ka sawal hai bekar ka jawab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.