is tarah dil ko be-asra chhoD kar
is tarah dil ko be-āsrā chhoḌ kar
ham kahāñ jaa.eñ dar aap kā chhoḌ kar
kyā bharosa marīz-e-ġham-e-ishq kā
kuchh duā kījiye ab davā chhoḌ kar
yuuñ bhī hotā hai apnoñ se bad-zan koī
yuuñ bhī jaatā hai koī bhalā chhoḌ kar
mauj-e-tūfāñ ne baḌh kar sahārā diyā
chal diyā jab mujhe nāḳhudā chhoḌ kar
bāda-ḳhāne meñ rusvā.iyāñ hī sahī
kaun jaa.e ye rangīñ fazā chhoḌ kar
muddatoñ yaad kartā rahegā jahāñ
miT chale ham to naqsha-e-vafā chhoḌ kar
ahl-e-duniyā ne 'āsī' bahut kuchh diyā
ek jins-e-ḳhulūs-o-vafā chhoḌ kar
is tarah dil ko be-asra chhoD kar
hum kahan jaen dar aap ka chhoD kar
kya bharosa mariz-e-gham-e-ishq ka
kuchh dua kijiye ab dawa chhoD kar
yun bhi hota hai apnon se bad-zan koi
yun bhi jata hai koi bhala chhoD kar
mauj-e-tufan ne baDh kar sahaara diya
chal diya jab mujhe naKHuda chhoD kar
baada-KHane mein ruswaiyan hi sahi
kaun jae ye rangin faza chhoD kar
muddaton yaad karta rahega jahan
miT chale hum to naqsha-e-wafa chhoD kar
ahl-e-duniya ne 'asi' bahut kuchh diya
ek jins-e-KHulus-o-wafa chhoD kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.