is tarah hajat-e-asir na khinch
is tarah hājat-e-asīr na khīñch
bhiik de kāsa-e-faqīr na khīñch
rahm kar kuchh to dast-e-majbūrī
jaan le le magar zamīr na khīñch
ye kahānī baḌī munāfiq hai
is meñ yūñhī mirā sharīr na khīñch
dā.ere shauq se banā lekin
ab koī ḳhuun kī lakīr na khīñch
lafz vāpas bhī lauT sakte haiñ
apne lahje meñ koī tiir na khīñch
apnā uslūb ban sake to banā
sher meñ 'ġhālib' aur 'mīr' na khīñch
aane vaale surāġh chāhte haiñ
ai havā naqsh-e-rāhgīr na khīñch
ye sharāfat bhī ek rassī hai
TuuT jā.egī mere viir na khīñch
is tarah hajat-e-asir na khinch
bhik de kasa-e-faqir na khinch
rahm kar kuchh to dast-e-majburi
jaan le le magar zamir na khinch
ye kahani baDi munafiq hai
is mein yunhi mera sharir na khinch
daere shauq se bana lekin
ab koi KHun ki lakir na khinch
lafz wapas bhi lauT sakte hain
apne lahje mein koi tir na khinch
apna uslub ban sake to bana
sher mein 'ghaalib' aur 'mir' na khinch
aane wale suragh chahte hain
ai hawa naqsh-e-rahgir na khinch
ye sharafat bhi ek rassi hai
TuT jaegi mere wir na khinch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.