is tarah hum ko ja-ba-ja kije
is tarah ham ko jā-ba-jā kiije
apnī yādoñ meñ mubtalā kiije
sab hī matlab ke yaar haiñ jānāñ
koī apnā nahīñ hai kyā kiije
ishq vāloñ kī shart aisī hai
apnī sūrat ko chāñd sā kiije
phone par baat ḳhuub kar lī hai
ab to milne kā hausla kiije
koī to hal zarūr niklegā
talḳh mauzūa pe mashvara kiije
zindagī kahte ik tamāshā hai
apnā kirdār bas adā kiije
ham ne bas ik umiid bāñdhī hai
kam se kam aap kuchh nayā kiije
mil ke hijr-o-visāl sahnā hai
ham-safar apnā ham-navā kiije
apnā mafhūm aap ko dūñgā
aap bas sher kah diyā kiije
is tarah hum ko ja-ba-ja kije
apni yaadon mein mubtala kije
sab hi matlab ke yar hain jaanan
koi apna nahin hai kya kije
ishq walon ki shart aisi hai
apni surat ko chand sa kije
phone par baat KHub kar li hai
ab to milne ka hausla kije
koi to hal zarur niklega
talKH mauzua pe mashwara kije
zindagi kahte ek tamasha hai
apna kirdar bas ada kije
hum ne bas ek umid bandhi hai
kam se kam aap kuchh naya kije
mil ke hijr-o-visal sahna hai
ham-safar apna ham-nawa kije
apna mafhum aap ko dunga
aap bas sher kah diya kije
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.