is tarah KHud ko akela kar liya
is tarah ḳhud ko akelā kar liyā
dhuup niklī aur saaya kar liyā
zindagī kuchh is tarah bojhal huī
ham ne jiine kā irāda kar liyā
apne hisse kī ravānī DhūñDh kar
ham ne lahroñ se kināra kar liyā
baiThe-baiThe dhyān kī khiḌkī khulī
baiThe-baiThe hī nazāra kar liyā
apne kamre meñ baḌī fursat thī aaj
jo bhī bikhrā thā ikaTThā kar liyā
maiñ kahāñ jā.ūñgā kuchh bhī tai nahīñ
tum ne to duniyā kā rasta kar liyā
is tarah KHud ko akela kar liya
dhup nikli aur saya kar liya
zindagi kuchh is tarah bojhal hui
hum ne jine ka irada kar liya
apne hisse ki rawani DhunDh kar
hum ne lahron se kinara kar liya
baiThe-baiThe dhyan ki khiDki khuli
baiThe-baiThe hi nazara kar liya
apne kamre mein baDi fursat thi aaj
jo bhi bikhra tha ikaTTha kar liya
main kahan jaunga kuchh bhi tai nahin
tum ne to duniya ka rasta kar liya
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 47)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.