is tarah KHud ko DhunDhti hun main
is tarah ḳhud ko DhūñDhtī huuñ maiñ
jaise rasta bhaTak ga.ī huuñ maiñ
saarī duniyā kā dukh hai merā dukh
ek tasvīr-e-ġham banī huuñ maiñ
ek bujhte charāġh kī mānind
lamha lamha sulag rahī huuñ maiñ
dekh kar mujh ko ro paḌe sab log
ḳhud pe kuchh is tarah hañsī huuñ maiñ
apnā imkāñ talāsh kaise karūñ
ek nadiyā rukī rukī huuñ maiñ
is tarah KHud ko DhunDhti hun main
jaise rasta bhaTak gai hun main
sari duniya ka dukh hai mera dukh
ek taswir-e-gham bani hun main
ek bujhte charagh ki manind
lamha lamha sulag rahi hun main
dekh kar mujh ko ro paDe sab log
KHud pe kuchh is tarah hansi hun main
apna imkan talash kaise karun
ek nadiya ruki ruki hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.