is tarah KHwab-safine ka maza leta hun
is tarah ḳhvāb-safīne kā mazā letā huuñ
band āñkhoñ se madīne kā mazā letā huuñ
mujh sā be-rang bhī rangoñ meñ nahā jaatā hai
un pe martā huuñ to jiine kā mazā letā huuñ
jaam ban kar mire hoñToñ se vo aa lagtā hai
qatra qatra use piine kā mazā letā huuñ
dard kī chaah meñ pahle to kuredūñ shab-bhar
phir usī zaḳhm ko siine kā mazā letā huuñ
khojtā rahtā huuñ lahje kī tahoñ ko 'ḳhālid'
asl chehre ke dafīne kā mazā letā huuñ
is tarah KHwab-safine ka maza leta hun
band aankhon se madine ka maza leta hun
mujh sa be-rang bhi rangon mein naha jata hai
un pe marta hun to jine ka maza leta hun
jam ban kar mere honTon se wo aa lagta hai
qatra qatra use pine ka maza leta hun
dard ki chah mein pahle to kuredun shab-bhar
phir usi zaKHm ko sine ka maza leta hun
khojta rahta hun lahje ki tahon ko 'KHalid'
asl chehre ke dafine ka maza leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.