is tarah mahw-e-jamal-e-moatabar ho jaiye
is tarah mahv-e-jamāl-e-mo'atabar ho jā.iye
jab naqāb uTThe to sar-tā-pā nazar ho jā.iye
ḳhud ko raushan kījiye ḳhud jalva-gar ho jā.iye
apnī sub.h-o-shām ke shams-o-qamar ho jā.iye
haq-parast-o-haq-shanās-o-haq-nigar ho jā.iye
raat ke māhaul meñ nūr-e-sahar ho jā.iye
dhuup ke māroñ ko jis kī chhāñv meñ rāhat mile
reg-zār-e-zindagī meñ vo shajar ho jā.iye
dekh kar insān par insān ke zulm-o-sitam
jī meñ aatā hai ki mahrūm-e-nazar ho jā.iye
vaqt vo hai chhoḌ kar sab maslahat-andeshiyāñ
aur bhī dīvāna-o-shorīda-sar ho jā.iye
log chun leñ jis kī tahrīreñ havāloñ ke liye
zindagī kī vo kitāb-e-motabar ho jā.iye
ḳhaak honā hī muqaddar meñ hai ai 'zāhid' to phir
ḳhāk-e-pā-e-sayyad-e-vālā-guhar ho jā.iye
is tarah mahw-e-jamal-e-mo'atabar ho jaiye
jab naqab uTThe to sar-ta-pa nazar ho jaiye
KHud ko raushan kijiye KHud jalwa-gar ho jaiye
apni subh-o-sham ke shams-o-qamar ho jaiye
haq-parast-o-haq-shanas-o-haq-nigar ho jaiye
raat ke mahaul mein nur-e-sahar ho jaiye
dhup ke maron ko jis ki chhanw mein rahat mile
reg-zar-e-zindagi mein wo shajar ho jaiye
dekh kar insan par insan ke zulm-o-sitam
ji mein aata hai ki mahrum-e-nazar ho jaiye
waqt wo hai chhoD kar sab maslahat-andeshiyan
aur bhi diwana-o-shorida-sar ho jaiye
log chun len jis ki tahriren hawalon ke liye
zindagi ki wo kitab-e-motabar ho jaiye
KHak hona hi muqaddar mein hai ai 'zahid' to phir
KHak-e-pa-e-sayyad-e-wala-guhar ho jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.