is tarah mohabbat ne kuchh hamein sanwara hai
is tarah mohabbat ne kuchh hameñ sañvārā hai
dard meñ bhī shiddat hai zaḳhm bhī karārā hai
ab to jān-e-jānāñ kī dhuñdlī dhuñdlī yādeñ haiñ
aur us kī yādoñ kā hī faqat sahārā hai
yuuñ to us se bichhḌe ab muddateñ huiiñ lekin
dil abhī bhī kahtā hai vo abhī hamārā hai
us se hī to chalte haiñ kārobār gulshan ke
vo hī rāt-rānī hai vo hī gul-hazāra hai
jis tarah taḌap kar ye ro rahā hai pāgal dil
dekhne se lagtā hai pyaar kā ye maarā hai
kījiye tah-e-dil se shukriya mohabbat kā
aable haiñ paañv meñ dil meñ ab sharāra hai
is tarah mohabbat ne kuchh hamein sanwara hai
dard mein bhi shiddat hai zaKHm bhi karara hai
ab to jaan-e-jaanan ki dhundli dhundli yaaden hain
aur us ki yaadon ka hi faqat sahaara hai
yun to us se bichhDe ab muddaten huin lekin
dil abhi bhi kahta hai wo abhi hamara hai
us se hi to chalte hain karobar gulshan ke
wo hi raat-rani hai wo hi gul-hazara hai
jis tarah taDap kar ye ro raha hai pagal dil
dekhne se lagta hai pyar ka ye mara hai
kijiye tah-e-dil se shukriya mohabbat ka
aable hain panw mein dil mein ab sharara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.