is tarah pahle to ghar se main kabhi nikla na tha
is tarah pahle to ghar se maiñ kabhī niklā na thā
dhuup thī chāroñ taraf mere kahīñ saaya na thā
maiñ ThiThur kar rah gayā huuñ sard mausam ke tale
varna jangal meñ shajar mujh se koī ūñchā na thā
sach to ye hai dostoñ ko muskurāhaT thī pasand
shiddat-e-ranj-o-alam meñ is liye royā na thā
pesh koī hādisa aayā ki manzil aa ga.ī
dil achānak raah meñ aise kabhī dhaḌkā na thā
ghūmtī hai apne markaz par sunā to hai 'razā'
ham ne duniyā ko alag ho kar kabhī dekhā na thā
is tarah pahle to ghar se main kabhi nikla na tha
dhup thi chaaron taraf mere kahin saya na tha
main ThiThur kar rah gaya hun sard mausam ke tale
warna jangal mein shajar mujh se koi uncha na tha
sach to ye hai doston ko muskurahaT thi pasand
shiddat-e-ranj-o-alam mein is liye roya na tha
pesh koi hadisa aaya ki manzil aa gai
dil achanak rah mein aise kabhi dhaDka na tha
ghumti hai apne markaz par suna to hai 'raza'
hum ne duniya ko alag ho kar kabhi dekha na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.