is tarah to lag raha hai chand bhi KHatre mein hai
is tarah to lag rahā hai chāñd bhī ḳhatre meñ hai
us se mil kar maiñ ne jaanā raushnī ḳhatre meñ hai
us kī sūrat dekh kar bolā sitāroñ se qamar
yaar lagtā hai ki apnī naukrī ḳhatre meñ hai
us ke hāthoñ meñ chhurī ko dekh kar hairān huuñ
uñgliyāñ ḳhatre meñ haiñ yā phir chhurī ḳhatre meñ hai
kyā kahā tum ne use dekhā hai apne shahr meñ
yaanī ab to shahr kā har aadmī ḳhatre meñ hai
kaun hiirā hai yahāñ aur kaun hai hīrā-numā
farq itnā sā batā kar jauharī ḳhatre meñ hai
jhiil sī āñkhoñ meñ us kī Duub saktī hai kabhī
rok lo us ko koī jā kar nadī ḳhatre meñ hai
be-sar-o-pā sher kah kar ḳhush thā maiñ āmir-'atā'
'mīr' jī sapne meñ bole shā.erī ḳhatre meñ hai
is tarah to lag raha hai chand bhi KHatre mein hai
us se mil kar main ne jaana raushni KHatre mein hai
us ki surat dekh kar bola sitaron se qamar
yar lagta hai ki apni naukri KHatre mein hai
us ke hathon mein chhuri ko dekh kar hairan hun
ungliyan KHatre mein hain ya phir chhuri KHatre mein hai
kya kaha tum ne use dekha hai apne shahr mein
yani ab to shahr ka har aadmi KHatre mein hai
kaun hira hai yahan aur kaun hai hira-numa
farq itna sa bata kar jauhari KHatre mein hai
jhil si aankhon mein us ki Dub sakti hai kabhi
rok lo us ko koi ja kar nadi KHatre mein hai
be-sar-o-pa sher kah kar KHush tha main aamir-'ata'
'mir' ji sapne mein bole shaeri KHatre mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.