is tarah yaad aane se kya faeda
is tarah yaad aane se kyā fā.eda
muft ehsāñ jatāne se kyā fā.eda
jis jagah dil hī jhuktā nahīñ aap kā
us jagah sar jhukāne se kyā fā.eda
ḳhatm kuchh dam meñ ho jā.egī raushnī
sham.a kī lau baḌhāne se kyā fā.eda
apne dushman se vāqif to haiñ ham magar
naam us kā batāne se kyā fā.eda
khul ke hañsiye tabāhī pe merī huzūr
zer-e-lab muskurāne se kyā fā.eda
apne dil se maiñ kartā huuñ aksar savāl
un kī mahfil meñ jaane se kyā fā.eda
aur ubhreñge naqsh-e-qadam aap ke
merī turbat miTāne se kyā fā.eda
nīchī nazreñ uThāte to ik baat thī
jaam aage baḌhāne se kyā fā.eda
jin ko aatā thā vo to na aa.e 'sa.īd'
mausam-e-gul ke aane se kyā fā.eda
is tarah yaad aane se kya faeda
muft ehsan jatane se kya faeda
jis jagah dil hi jhukta nahin aap ka
us jagah sar jhukane se kya faeda
KHatm kuchh dam mein ho jaegi raushni
shama ki lau baDhane se kya faeda
apne dushman se waqif to hain hum magar
nam us ka batane se kya faeda
khul ke hansiye tabahi pe meri huzur
zer-e-lab muskurane se kya faeda
apne dil se main karta hun aksar sawal
un ki mahfil mein jaane se kya faeda
aur ubhrenge naqsh-e-qadam aap ke
meri turbat miTane se kya faeda
nichi nazren uThate to ek baat thi
jam aage baDhane se kya faeda
jin ko aata tha wo to na aae 'said'
mausam-e-gul ke aane se kya faeda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.