Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is tilsim-e-roz-o-shab se to kabhi niklo zara

Abdul Hafiz Naeemi

is tilsim-e-roz-o-shab se to kabhi niklo zara

Abdul Hafiz Naeemi

MORE BYAbdul Hafiz Naeemi

    is tilsim-e-roz-o-shab se to kabhī niklo zarā

    kam se kam vijdān ke sahrā meñ ghūmo zarā

    naam kitne likhe haiñ dil ik mehrāb par

    hogā in meñ tumhārā naam bhī DhūñDo zarā

    bad-gumānī yahī ġhairoñ ko kaafī hai sazā

    muskurā kar phir usī din tarah dekho zarā

    vaqt ke patthar ke nīche ik dabā chashma huuñ maiñ

    aao pyāso mil ke ye patthar uThāo to zarā

    husn ik dariyā hai sahrā bhī haiñ us raah meñ

    kal kahāñ hogā ye dariyā ye bhī to socho zarā

    do kaloñ ke biich meñ ik aaj huuñ uljhā huā

    merī is kam-fursatī ke karb ko samjho zarā

    vus.at-e-kaun-o-makāñ bhī ab huī jaatī hai tañg

    aur bhī kuchh ai junūñ vaalo abhī simTo zarā

    thak ga.e hoge bahut pur-pech thī chāhat raah

    aao merī god meñ sar rakh ke sustā lo zarā

    ek miTte lafz ke bhī kaam aa jaao kabhī

    sañg-e-dil par miTne se pahle mujhe likh lo zarā

    hai ta.āqub meñ 'na.īmī' saaya ik roz o shab

    dost shāyad ho koī muḌ ke to dekho zarā

    is tilsim-e-roz-o-shab se to kabhi niklo zara

    kam se kam wijdan ke sahra hi mein ghumo zara

    nam kitne hi likhe hain dil ki ek mehrab par

    hoga in mein hi tumhaara nam bhi DhunDo zara

    bad-gumani ki yahi ghairon ko kafi hai saza

    muskura kar phir usi din ki tarah dekho zara

    waqt ke patthar ke niche ek daba chashma hun main

    aao pyaso mil ke ye patthar uThao to zara

    husn ek dariya hai sahra bhi hain us ki rah mein

    kal kahan hoga ye dariya ye bhi to socho zara

    do kalon ke bich mein ek aaj hun uljha hua

    meri is kam-fursati ke karb ko samjho zara

    wusat-e-kaun-o-makan bhi ab hui jati hai tang

    aur bhi kuchh ai junun walo abhi simTo zara

    thak gae hoge bahut pur-pech thi chahat ki rah

    aao meri god mein sar rakh ke susta lo zara

    ek miTte lafz ke bhi kaam aa jao kabhi

    sang-e-dil par miTne se pahle mujhe likh lo zara

    hai taaqub mein 'naimi' saya sa ek roz o shab

    dost hi shayad ho koi muD ke to dekho zara

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now