ise bhi chhoDun use bhi chhoDun tumhein sabhi se hi masala hai?
ise bhi chhoDun use bhi chhoDun tumhein sabhi se hi masala hai?
Fariha Naqvi
MORE BYFariha Naqvi
ise bhī chhoḌūñ use bhī chhoḌūñ tumheñ sabhī se hī mas.ala hai?
mirī samajh se to bālā-tar hai ye pyaar hai yā muāhida hai
''jo tū nahīñ thī to aur bhī the jo tū na hogī to aur hoñge''
kisī ke dil ko jalā ke kahte ho merī jaañ ye muhāvara hai
ham aaj qaus-e-quzah ke mānind ek duuje pe khil rahe haiñ
mujhe to pahle se lag rahā thā ye āsmānoñ kā silsila hai
vo apne apne tamām sāthī, tamām mahbūb le ke aa.eñ
to mere hāthoñ meñ haath de de hameñ bhī izn-e-mubāhla hai
are o jāo!! yuuñ sar na khāo!! hamārā us se muqābla kyaa?
na vo zahīn-o-fatīn yaaro na vo hasīñ hai na shā.era hai
ise bhi chhoDun use bhi chhoDun tumhein sabhi se hi masala hai?
meri samajh se to baala-tar hai ye pyar hai ya muahida hai
jo tu nahin thi to aur bhi the jo tu na hogi to aur honge
kisi ke dil ko jala ke kahte ho meri jaan ye muhawara hai
hum aaj qaus-e-quzah ke manind ek duje pe khil rahe hain
mujhe to pahle se lag raha tha ye aasmanon ka silsila hai
wo apne apne tamam sathi, tamam mahbub le ke aaen
to mere hathon mein hath de de hamein bhi izn-e-mubahla hai
are o jao!! yun sar na khao!! hamara us se muqabla kya?
na wo zahin-o-fatin yaro na wo hasin hai na shaera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.