ise saman-e-safar jaan ye jugnu rakh le
ise sāmān-e-safar jaan ye jugnū rakh le
raah meñ tīrgī hogī mire aañsū rakh le
tū jo chāhe to tirā jhuuT bhī bik saktā hai
shart itnī hai ki sone kī tarāzū rakh le
vo koī jism nahīñ hai ki use chhū bhī sakeñ
haañ agar naam hī rakhnā hai to ḳhushbū rakh le
tujh ko an-dekhī bulandī meñ safar karnā hai
ehtiyātan mirī himmat mire baazū rakh le
mirī ḳhvāhish hai ki āñgan meñ na dīvār uThe
mire bhaa.ī mire hisse kī zamīñ tū rakh le
ise saman-e-safar jaan ye jugnu rakh le
rah mein tirgi hogi mere aansu rakh le
tu jo chahe to tera jhuT bhi bik sakta hai
shart itni hai ki sone ki taraazu rakh le
wo koi jism nahin hai ki use chhu bhi saken
han agar nam hi rakhna hai to KHushbu rakh le
tujh ko an-dekhi bulandi mein safar karna hai
ehtiyatan meri himmat mere bazu rakh le
meri KHwahish hai ki aangan mein na diwar uThe
mere bhai mere hisse ki zamin tu rakh le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.