ishq aazar lag raha hai mujhe
ishq āzār lag rahā hai mujhe
dil ye bīmār lag rahā hai mujhe
chubh rahī ab haiñ saarī ḳhushbūeñ
phuul bhī ḳhaar lag rahā hai mujhe
ġham meñ royā hai saath mere so
āsmāñ yaar lag rahā hai mujhe
ḳhud huuñ bezār aur har ik shaḳhs
ḳhud se bezār lag rahā hai mujhe
dil hai vīrān aur jahāñ saarā
ġham kā bāzār lag rahā hai mujhe
ishq aazar lag raha hai mujhe
dil ye bimar lag raha hai mujhe
chubh rahi ab hain sari KHushbuen
phul bhi KHar lag raha hai mujhe
gham mein roya hai sath mere so
aasman yar lag raha hai mujhe
KHud hun bezar aur har ek shaKHs
KHud se bezar lag raha hai mujhe
dil hai viran aur jahan sara
gham ka bazar lag raha hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.