ishq ab tak hai purani ek teri taswir se
ishq ab tak hai purānī ik tirī tasvīr se
roz kartī huuñ shikāyat kātib-e-taqdīr se
maiñ namāzī maiñ hī panDit rab ḳhudā sab ek hai
ghoñT do gardan bhale tum maz.habī zanjīr se
de na paa.e log jiite jī agar izzat mujhe
kar rahe haiñ kyoñ janāze ko vidā.a tauqīr se
ahmiyat ab hai kahāñ insān meñ jazbāt kī
tolte haiñ aaj kal har chiiz ko jāgīr se
ye 'tabassum' hī hai merā aslaha sab se baḌā
jītnā mumkin nahīñ har jañg bas shamshīr se
ishq ab tak hai purani ek teri taswir se
roz karti hun shikayat katib-e-taqdir se
main namazi main hi panDit rab KHuda sab ek hai
ghonT do gardan bhale tum mazhabi zanjir se
de na pae log jite ji agar izzat mujhe
kar rahe hain kyon janaze ko widaa tauqir se
ahmiyat ab hai kahan insan mein jazbaat ki
tolte hain aaj kal har chiz ko jagir se
ye 'tabassum' hi hai mera aslaha sab se baDa
jitna mumkin nahin har jang bas shamshir se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.