ishq aisa ajib dariya hai
ishq aisā ajiib dariyā hai
jo binā sāhiloñ ke bahtā hai
muġhtanim haiñ ye chaar lamhe bhī
phir na ham haiñ na ye tamāshā hai
ai sarāboñ meñ ghūmne vaale
dil ke andar bhī ek rasta hai
zindagī ik dukāñ khilaunoñ keī
vaqt bigḌā huā sā bachcha hai
is bharī kā.enāt ke hote
aadmī kis qadar akelā hai
ā.īne meñ jo aks hai 'amjad'
kyoñ kisī dūsre kā lagtā hai
ishq aisa ajib dariya hai
jo bina sahilon ke bahta hai
mughtanim hain ye chaar lamhe bhi
phir na hum hain na ye tamasha hai
ai sarabon mein ghumne wale
dil ke andar bhi ek rasta hai
zindagi ek dukan khilaunon kei
waqt bigDa hua sa bachcha hai
is bhari kaenat ke hote
aadmi kis qadar akela hai
aaine mein jo aks hai 'amjad'
kyon kisi dusre ka lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.