ishq aur nang-e-arzu se aar
ishq aur nañg-e-ārzū se aar
dil-e-ḳhuddār par ḳhudā kī maar
aur kyā dekhnā hai zauq-e-nazar
husn aur ā.īñe se ho bezār
shikva-e-jaur hai na shauq-e-karam
yuuñ bhī aanā thā ahl-e-dil ko qarār
shaad ab kyuuñ nahīñ dil-e-maġhmūm
husn ko ḳhud jafā se hai inkār
lutf aisā ki kuchh nahīñ taḳhsīs
jaise sab ke liye khulā bāzār
ek bol ek daam saudā naqd
aur na kuchh bhāv-tāv kī takrār
sikka-e-kam-ayār dāġh-e-jigar
pūchh us kī nahīñ kahīñ zanhār
sañg-rezoñ ke daam uThte haiñ
pārā-e-dil hai muft bhī bekār
sard-mehrī hai biich kī dallāl
jis kā donoñ taraf se hai bevpār
rahan hai us ke naam jo kuchh hai
husn kā naaz ishq kā pindār
ġharaz is rabt se hue haiñ baham
ishq be-kaif o husn kam-āzār
gāñThte haiñ phaTe hue jazbāt
ho ke sayyad bane 'salīm' chamār
ishq aur nang-e-arzu se aar
dil-e-KHuddar par KHuda ki mar
aur kya dekhna hai zauq-e-nazar
husn aur aaine se ho bezar
shikwa-e-jaur hai na shauq-e-karam
yun bhi aana tha ahl-e-dil ko qarar
shad ab kyun nahin dil-e-maghmum
husn ko KHud jafa se hai inkar
lutf aisa ki kuchh nahin taKHsis
jaise sab ke liye khula bazar
ek bol ek dam sauda naqd
aur na kuchh bhaw-taw ki takrar
sikka-e-kam-ayar dagh-e-jigar
puchh us ki nahin kahin zanhaar
sang-rezon ke dam uThte hain
para-e-dil hai muft bhi bekar
sard-mehri hai bich ki dallal
jis ka donon taraf se hai bewpar
rahan hai us ke nam jo kuchh hai
husn ka naz ishq ka pindar
gharaz is rabt se hue hain baham
ishq be-kaif o husn kam-azar
ganThte hain phaTe hue jazbaat
ho ke sayyad bane 'salim' chamar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.