ishq-bāz-e-zamāna jitne haiñ
sab mire sāmne ke itne haiñ
sar jhukā.e haiñ khīñchiye talvār
ham bhī dekheñ ki aap kitne haiñ
radd-e-ka.aba haiñ par haiñ rabb-e-kunisht
ab bhī nām-e-ḳhudā but itne haiñ
band āñkheñ kiye haiñ ahl-e-qubūr
be-ḳhabar se rahe haiñ jitne haiñ
is qadar hai vo shoḳh garmā-garm
jis se dozaḳh ke sard fitne haiñ
dil meñ lākhoñ bhareñ haiñ gun ai 'shād'
dekhne meñ ġharīb kitne haiñ
ishq-baz-e-zamana jitne hain
sab mere samne ke itne hain
sar jhukae hain khinchiye talwar
hum bhi dekhen ki aap kitne hain
radd-e-kaba hain par hain rabb-e-kunisht
ab bhi nam-e-KHuda but itne hain
band aankhen kiye hain ahl-e-qubur
be-KHabar se rahe hain jitne hain
is qadar hai wo shoKH garma-garm
jis se dozaKH ke sard fitne hain
dil mein lakhon bharen hain gun ai 'shad'
dekhne mein gharib kitne hain
Source :
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 109)
- Author : فرحت احساس
-
Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا
(2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.