ishq betab-e-jaan-gudazi hai
ishq betāb-e-jāñ-gudāzī hai
husn mushtāq-e-dil-navāzī hai
ashk ḳhūnīñ suuñ jo kiyā hai vazū
maz.hab-e-ishq meñ namāzī hai
jo huā rāz-e-ishq suuñ āgāh
vo zamāne kā faḳhr-e-rāzī hai
pāk-bāzāñ suuñ yuuñ huā mafhūm
ishq mazmūn-e-pāk-bāzī hai
jā ke pahuñchī hai hadd-e-zulmat kuuñ
bas-ki tujh zulf meñ darāzī hai
tajrabe suuñ huā mujhe zāhir
naaz mafhūm be-niyāzī hai
ai 'valī' aish-e-zāhirī kā sabab
jalva-e-shāhid-e-majāzī hai
ishq betab-e-jaan-gudazi hai
husn mushtaq-e-dil-nawazi hai
ashk KHunin sun jo kiya hai wazu
mazhab-e-ishq mein namazi hai
jo hua raaz-e-ishq sun aagah
wo zamane ka faKHr-e-raazi hai
pak-bazan sun yun hua mafhum
ishq mazmun-e-pak-bazi hai
ja ke pahunchi hai hadd-e-zulmat kun
bas-ki tujh zulf mein daraazi hai
tajrabe sun hua mujhe zahir
naz mafhum be-niyazi hai
ai 'wali' aish-e-zahiri ka sabab
jalwa-e-shahid-e-majazi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.