ishq dushwar nahin KHush-nazari mushkil hai
ishq dushvār nahīñ ḳhush-nazarī mushkil hai
sahl hai koh-kanī shīshagarī mushkil hai
us meñ shāmil hai mirā husn-e-talab bhī ai dost
varna is husn se bedād-garī mushkil hai
lag ga.ī dāman-e-gesū-e-pareshāñ kī havā
hosh meñ aa.e nasīm-e-saharī mushkil hai
masnad-e-lāla-o-raihāñ ho ki ho taḳhta-e-dār
ham-nashīñ chāra-e-āshufta-sarī mushkil hai
ye haqīqat koī arbāb-e-ḳhabar se pūchhe
kis qadar marhala-e-be-ḳhabarī mushkil hai
dil-e-bedār kā ab aur hī aalam hai 'ravish'
lab tak aa jaa.e fuġhān-e-saharī mushkil hai
ishq dushwar nahin KHush-nazari mushkil hai
sahl hai koh-kani shishagari mushkil hai
us mein shamil hai mera husn-e-talab bhi ai dost
warna is husn se bedad-gari mushkil hai
lag gai daman-e-gesu-e-pareshan ki hawa
hosh mein aae nasim-e-sahari mushkil hai
masnad-e-lala-o-raihan ho ki ho taKHta-e-dar
ham-nashin chaara-e-ashufta-sari mushkil hai
ye haqiqat koi arbab-e-KHabar se puchhe
kis qadar marhala-e-be-KHabari mushkil hai
dil-e-bedar ka ab aur hi aalam hai 'rawish'
lab tak aa jae fughan-e-sahari mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.