Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq-e-la-mahdud jab tak rahnuma hota nahin

Jigar Moradabadi

ishq-e-la-mahdud jab tak rahnuma hota nahin

Jigar Moradabadi

ishq-e-lā-mahdūd jab tak rahnumā hotā nahīñ

zindagī se zindagī haq adā hotā nahīñ

be-karāñ hotā nahīñ be-intihā hotā nahīñ

qatra jab tak baḌh ke qulzum-āshnā hotā nahīñ

us se baḌh kar dost koī dūsrā hotā nahīñ

sab judā ho jaa.eñ lekin ġham judā hotā nahīñ

zindagī ik hādsa hai aur kaisā hādsa

maut se bhī ḳhatm jis silsila hotā nahīñ

kaun ye nāseh ko samjhā.e ba-tarz-e-dil-nashīñ

ishq sādiq ho to ġham bhī be-mazā hotā nahīñ

dard se māmūr hotī rahī hai kā.enāt

ik dil-e-insāñ magar dard-āshnā hotā nahīñ

mere arz-e-ġham pe vo kahnā kisī haa.e haa.e

shikva-e-ġham sheva-e-ahl-e-vafā hotā nahīñ

us maqām-e-qarb tak ab ishq pahuñchā jahāñ

dīda-o-dil bhī aksar vāstā hotā nahīñ

har qadam ke saath manzil lekin is kyā ilaaj

ishq kam-baḳht manzil-āshnā hotā nahīñ

allāh allāh ye kamāl aur irtibāt-e-husn-o-ishq

fāsle hoñ laakh dil se dil judā hotā nahīñ

kyā qayāmat hai ki is daur-e-taraqqī meñ 'jigar'

aadmī se aadmī haq adā hotā nahīñ

ishq-e-la-mahdud jab tak rahnuma hota nahin

zindagi se zindagi ka haq ada hota nahin

be-karan hota nahin be-intiha hota nahin

qatra jab tak baDh ke qulzum-ashna hota nahin

us se baDh kar dost koi dusra hota nahin

sab juda ho jaen lekin gham juda hota nahin

zindagi ek hadsa hai aur kaisa hadsa

maut se bhi KHatm jis ka silsila hota nahin

kaun ye naseh ko samjhae ba-tarz-e-dil-nashin

ishq sadiq ho to gham bhi be-maza hota nahin

dard se mamur hoti ja rahi hai kaenat

ek dil-e-insan magar dard-ashna hota nahin

mere arz-e-gham pe wo kahna kisi ka hae hae

shikwa-e-gham shewa-e-ahl-e-wafa hota nahin

us maqam-e-qarb tak ab ishq pahuncha hi jahan

dida-o-dil ka bhi aksar wasta hota nahin

har qadam ke sath manzil lekin is ka kya ilaj

ishq hi kam-baKHt manzil-ashna hota nahin

allah allah ye kamal aur irtibaat-e-husn-o-ishq

fasle hon lakh dil se dil juda hota nahin

kya qayamat hai ki is daur-e-taraqqi mein 'jigar'

aadmi se aadmi ka haq ada hota nahin

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now