Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq hai gham jo sikhata hai fana ho jaana

Mani Jayasi

ishq hai gham jo sikhata hai fana ho jaana

Mani Jayasi

Interesting Fact

December 1932

ishq hai ġham jo sikhātā hai fanā ho jaanā

dard-e-dil hai jise aatā hai davā ho jaanā

dars-e-himmat hai na.e rah-rav-e-ulfat ke liye

kāñTe paanā to mirā barahna-pā ho jaanā

ishq pyārā hai to ne.amat hai ġham-e-mahjūrī

in milnā hai mohabbat judā ho jaanā

hosh lā-hāslī-e-shikva-e-nākāmī hai

be-ḳhudī meñ mirā rāzī-ba-razā ho jaanā

ai pashīmān-e-sitam ki jahāñ dekh chukā

merā marnā tire va.ade vafā ho jaanā

vasl-e-jānāñ tamannā hai to miT pahle

yuuñ mayassar nahīñ bande ko ḳhudā ho jaanā

saañs gintā huuñ tamannā meñ ki dekhūñ 'mānī'

ġham-e-dil adab-āmoz-e-fanā ho jaanā

ishq hai gham jo sikhata hai fana ho jaana

dard-e-dil hai jise aata hai dawa ho jaana

dars-e-himmat hai nae rah-raw-e-ulfat ke liye

kanTe pana to mera barahna-pa ho jaana

ishq pyara hai to neamat hai gham-e-mahjuri

in ka milna hai mohabbat ka juda ho jaana

hosh la-hasli-e-shikwa-e-nakaami hai

be-KHudi mein mera raazi-ba-raza ho jaana

ai pashiman-e-sitam ja ki jahan dekh chuka

mera marna tere wade ka wafa ho jaana

wasl-e-jaanan ki tamanna hai to miT ja pahle

yun mayassar nahin bande ko KHuda ho jaana

sans ginta hun tamanna mein ki dekhun 'mani'

gham-e-dil ka adab-amoz-e-fana ho jaana

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now