ishq hai iKHtiyar ka dushman
ishq hai iḳhtiyār kā dushman
sabr o hosh o qarār kā dushman
dil tirī zulf dekh kyuuñ na Dare
jaal ho hai shikār kā dushman
saath achraj hai zulf o shāne kā
mor hotā hai maar kā dushman
dil-e-sozāñ kuuñ Dar hai anjhuvāñ siiñ
aab ho hai sharār kā dushman
kyā qayāmat hai āshiqī ke rashk
yaar hotā hai yaar kā dushman
'ābrū' kaun jā ke samjhāve
kyuuñ huā dost-dār kā dushman
ishq hai iKHtiyar ka dushman
sabr o hosh o qarar ka dushman
dil teri zulf dekh kyun na Dare
jal ho hai shikar ka dushman
sath achraj hai zulf o shane ka
mor hota hai mar ka dushman
dil-e-sozan kun Dar hai anjhuwan sin
aab ho hai sharar ka dushman
kya qayamat hai aashiqi ke rashk
yar hota hai yar ka dushman
'abru' kaun ja ke samjhawe
kyun hua dost-dar ka dushman
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 181)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.