ishq hai nam gham uThane ka
ishq hai naam ġham uThāne kā
yaas unvāñ hai is fasāne kā
maiñ ki pāband-e-vaz.a-e-fitrat huuñ
shauq hai un ko āzmāne kā
barq betāb raushnī zāhir
haa.e andāz muskurāne kā
haa.e ahd-e-shabāb kā aalam
hai ye mausam fareb khāne kā
shāyad un ko bhī ho 'azīm' malāl
shīsha-e-dil ke TuuT jaane kā
ishq hai nam gham uThane ka
yas unwan hai is fasane ka
main ki paband-e-waza-e-fitrat hun
shauq hai un ko aazmane ka
barq betab raushni zahir
hae andaz muskurane ka
hae ahd-e-shabab ka aalam
hai ye mausam fareb khane ka
shayad un ko bhi ho 'azim' malal
shisha-e-dil ke TuT jaane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.