ishq hai nam mera husn ka shaidai hun
ishq hai naam mirā husn kā shaidā.ī huuñ
baat ye aur ki mahrūm-e-pazīrā.ī huuñ
qāfile ġham ke jahāñ rukte haiñ dam lene ko
maiñ vahī sāya-e-dīvār-e-shakebā.ī huuñ
kuchh is andāz se uThtī rahī hāsid kī nazar
jaise maiñ hī sabab-e-anjuman-ārā.ī huuñ
nukta-chīñ mere mire ḳhuuñ kī safedī pe na jā
maiñ na.e daur ke bhaa.ī kā sagā bhaa.ī huuñ
misra-e-tar ke kabhī paañv phisal jaate haiñ
jaise maiñ rāh-e-taḳhayyul pe jamī kaa.ī huuñ
gin liye uḌte hue tā.ir-e-lāhūt ke par
kaun kahtā hai ki gum-karda-e-bīnā.ī huuñ
kam-nazar haiñ vo jo kamzor samajhte haiñ mujhe
atomī daur kī tāqat huuñ tavānā.ī huuñ
dil dahal jaate haiñ faulād sī chaTTānoñ ke
shor-e-tanhā.ī huuñ āvāza-e-barnā.ī huuñ
ye mirā apnā tarīqa hai ḳhud-āgāhī kā
ḳhud tamāshā huuñ 'ufuq' ḳhud hī tamāshā.ī huuñ
ishq hai nam mera husn ka shaidai hun
baat ye aur ki mahrum-e-pazirai hun
qafile gham ke jahan rukte hain dam lene ko
main wahi saya-e-diwar-e-shakebai hun
kuchh is andaz se uThti rahi hasid ki nazar
jaise main hi sabab-e-anjuman-arai hun
nukta-chin mere mere KHun ki safedi pe na ja
main nae daur ke bhai ka saga bhai hun
misra-e-tar ke kabhi panw phisal jate hain
jaise main rah-e-taKHayyul pe jami kai hun
gin liye uDte hue tair-e-lahut ke par
kaun kahta hai ki gum-karda-e-binai hun
kam-nazar hain wo jo kamzor samajhte hain mujhe
atomi daur ki taqat hun tawanai hun
dil dahal jate hain faulad si chaTTanon ke
shor-e-tanhai hun aawaza-e-barnai hun
ye mera apna tariqa hai KHud-agahi ka
KHud tamasha hun 'ufuq' KHud hi tamashai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.