ishq hai sarsabz virana hina
ishq hai sarsabz vīrāna 'hinā'
dil na maane dil ko samjhānā 'hinā'
lafz kā jaadū nihāyat kārgar
harf kī ḳhushbū judāgāna 'hinā'
kyā mohabbat kā yahī dastūr hai
har qadam par Dagmagā jaanā 'hinā'
hosh meñ rahnā bhī karnā ishq bhī
kār-e-duniyā se bhī ghabrānā 'hinā'
ye mohabbat ḳhushnumā piñjra koī
qaid kī aadī na ho jaanā 'hinā'
pahal karnā gar judā honā paḌe
ḳhud ko dorāhe pe mat laanā 'hinā'
koī bhī tere sivā terā nahīñ
apnī tāqat aap ban jaanā 'hinā'
daad se ḳhush-fahmiyāñ mat pālnā
ḳhvāb se dhoka nahīñ khānā 'hinā'
ishq hai sarsabz virana 'hina'
dil na mane dil ko samjhana 'hina'
lafz ka jadu nihayat kargar
harf ki KHushbu judagana 'hina'
kya mohabbat ka yahi dastur hai
har qadam par Dagmaga jaana 'hina'
hosh mein rahna bhi karna ishq bhi
kar-e-duniya se bhi ghabrana 'hina'
ye mohabbat KHushnuma pinjra koi
qaid ki aadi na ho jaana 'hina'
pahal karna gar juda hona paDe
KHud ko dorahe pe mat lana 'hina'
koi bhi tere siwa tera nahin
apni taqat aap ban jaana 'hina'
dad se KHush-fahmiyan mat palna
KHwab se dhoka nahin khana 'hina'
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.