ishq hai us zulf ka sartaj aaj
ishq hai us zulf kā sartāj aaj
hai rasūl-e-husn kī me.arāj aaj
nok-e-mizhgāñ par nahīñ hai laḳht-e-dil
daar par khīñchā gayā hallāj aaj
tark chashm-e-yār ke tevar haiñ aur
ḳhirman-e-tāqat kā hai tārāj aaj
teġh-e-abrū kal paḌī dil par mire
tiir mizhgāñ kā huā āmāj aaj
chūse haiñ us ke misī ālūda-lab
maiñ ne nīlam kā kiyā pokhrāj aaj
vasl kī marzī thī kal us shoḳh kī
phir gayā vo vaqt-e-istimzāj aaj
likkhā hai jo vasf abrū kā 'vaqār'
sher-she.arī se na le kyuuñ baaj aaj
ishq hai us zulf ka sartaj aaj
hai rasul-e-husn ki mearaj aaj
nok-e-mizhgan par nahin hai laKHt-e-dil
dar par khincha gaya hallaj aaj
tark chashm-e-yar ke tewar hain aur
KHirman-e-taqat ka hai taraj aaj
tegh-e-abru kal paDi dil par mere
tir mizhgan ka hua aamaj aaj
chuse hain us ke misi aaluda-lab
main ne nilam ka kiya pokhraj aaj
wasl ki marzi thi kal us shoKH ki
phir gaya wo waqt-e-istimzaj aaj
likkha hai jo wasf abru ka 'waqar'
sher-sheari se na le kyun baj aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.