ishq hai yar ka KHuda-hafiz
ishq hai yaar kā ḳhudā-hāfiz
amr-e-dushvār kā ḳhudā-hāfiz
pech mujh par paḌe jo paḌnā ho
zulf-e-ḳhamdār kā ḳhudā-hāfiz
sar jo Takrātā huuñ to kahte haiñ
merī dīvār kā ḳhudā-hāfiz
sarfaroshoñ kī chashm-e-bad na paḌe
un kī talvār kā ḳhudā-hāfiz
dafn ham ho chuke to kahte haiñ
is gunahgār kā ḳhudā-hāfiz
dasht chhūTā to ābloñ ne kahā
yaañ ke har ḳhaar kā ḳhudā-hāfiz
baat karne meñ hoñT laḌte haiñ
aise takrār kā ḳhudā-hāfiz
bulbuleñ qaid-e-bāġhbāñ ġhāfil
gul-e-zardār kā ḳhudā-hāfiz
gar 'saḳhī' ko hai ishq kā āzār
aise bīmār kā ḳhudā-hāfiz
ishq hai yar ka KHuda-hafiz
amr-e-dushwar ka KHuda-hafiz
pech mujh par paDe jo paDna ho
zulf-e-KHamdar ka KHuda-hafiz
sar jo Takraata hun to kahte hain
meri diwar ka KHuda-hafiz
sarfaroshon ki chashm-e-bad na paDe
un ki talwar ka KHuda-hafiz
dafn hum ho chuke to kahte hain
is gunahgar ka KHuda-hafiz
dasht chhuTa to aablon ne kaha
yan ke har KHar ka KHuda-hafiz
baat karne mein honT laDte hain
aise takrar ka KHuda-hafiz
bulbulen qaid-e-baghban ghafil
gul-e-zardar ka KHuda-hafiz
gar 'saKHi' ko hai ishq ka aazar
aise bimar ka KHuda-hafiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.