ishq hun jurat-e-izhaar bhi kar sakta hun
ishq huuñ jur.at-e-iz.hār bhī kar saktā huuñ
ḳhud ko rusvā sar-e-bāzār bhī kar saktā huuñ
tū samajhtā hai ki maiñ kuchh bhī nahīñ tere baġhair
maiñ tire pyaar se inkār bhī kar saktā huuñ
ġhair mumkin hī sahī tujh ko bhulānā lekin
ye jo dariyā hai ise paar bhī kar saktā huuñ
tū mirī amn-pasandī ko ġhalat naam na de
vaar sahtā hī nahīñ vaar bhī kar saktā huuñ
mai-kada kār-e-digar aur janāb-e-vā.iz
aisī nekī maiñ gunahgār bhī kar saktā huuñ
dāvarā maiñ tirī duniyā meñ to ḳhāmosh rahā
par sar-e-hashr maiñ takrār bhī kar saktā huuñ
ishq hun jurat-e-izhaar bhi kar sakta hun
KHud ko ruswa sar-e-bazar bhi kar sakta hun
tu samajhta hai ki main kuchh bhi nahin tere baghair
main tere pyar se inkar bhi kar sakta hun
ghair mumkin hi sahi tujh ko bhulana lekin
ye jo dariya hai ise par bhi kar sakta hun
tu meri amn-pasandi ko ghalat nam na de
war sahta hi nahin war bhi kar sakta hun
mai-kada kar-e-digar aur janab-e-waiz
aisi neki main gunahgar bhi kar sakta hun
dawara main teri duniya mein to KHamosh raha
par sar-e-hashr main takrar bhi kar sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.