ishq ifsha ho gaya hum raushni mein aa gae
ishq ifshā ho gayā ham raushnī meñ aa ga.e
kitne parde kaam ik be-pardagī meñ aa ga.e
rāh-e-mamnūā kī jānib bhī qadam uTh hī ga.e
jis taraf aanā na thā ham be-ḳhudī meñ aa ga.e
nā-ḳhudā kā kaam bhī mauj-e-talātum ne kiyā
Dūbne vaale had-e-sāhil-rasī meñ aa ga.e
ġham kī kaifiyyat ne aañsū zeb-e-mizhgāñ kar diye
shaam hote hī sitāre raushnī meñ aa ga.e
'mānī' kah do shā.irī-juzvest-az-paiġhambarī
ham pa-e-tablīġh mulk-e-dilbarī meñ aa ga.e
ishq ifsha ho gaya hum raushni mein aa gae
kitne parde kaam ek be-pardagi mein aa gae
rah-e-mamnua ki jaanib bhi qadam uTh hi gae
jis taraf aana na tha hum be-KHudi mein aa gae
na-KHuda ka kaam bhi mauj-e-talatum ne kiya
Dubne wale had-e-sahil-rasi mein aa gae
gham ki kaifiyyat ne aansu zeb-e-mizhgan kar diye
sham hote hi sitare raushni mein aa gae
'mani' kah do shairi-juzwest-az-paighambari
hum pa-e-tabligh mulk-e-dilbari mein aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.