Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq jab baryab hota hai

Alamgir Khan Kaif

ishq jab baryab hota hai

Alamgir Khan Kaif

MORE BYAlamgir Khan Kaif

    'ishq jab bāryāb hotā hai

    ḳhāna-e-dil ḳharāb hotā hai

    saaf un se javāb hotā hai

    roz qāsid ḳharāb hotā hai

    jism-e-ḳhākī ko chhoḌtī hai ruuh

    ye gharauñdā ḳharāb hotā hai

    jo maḳhlūq shān-e-ḳhāliq hai

    ek bhī javāb hotā hai

    nāma-bar kahte haiñ na likho ḳhat

    muft kāġhaz ḳharāb hotā hai

    dekh lenā ye gumbad-e-gardūñ

    koī din meñ ḳharāb hotā hai

    pījiye pījiye sharāb kahīñ

    dil-e-sozāñ kabāb hotā hai

    ham se marte huoñ ko ai qātil

    zab.h karnā savāb hotā hai

    ai qayāmat na kar ziyāda shor

    'āshiqoñ se hisāb hotā hai

    dekh kar tifl-e-ashk ko bole

    aisā laḌkā ḳharāb hotā hai

    hijr meñ aa ke mere āñkhoñ meñ

    kyā pareshān ḳhvāb hotā hai

    raham ai girya-e-shab-e-furqat

    ḳhūn-e-chashm pur-āb hotā hai

    fātiha paḌh ke ronā turbat par

    yaar ham par 'azāb hotā hai

    un ke ruḳh ke huzūr ḳhajlat se

    ā.īna aab aab hotā hai

    dekh kar āhuvān-e-chashm sanam

    zohra-e-sher aab hotā hai

    hashr meñ kyoñ hujūm hai utnā

    kyā koī be-naqāb hotā hai

    'kaif' tauba karo mohabbat se

    nām-e-ulfat ḳharāb hotā hai

    'ishq jab baryab hota hai

    KHana-e-dil KHarab hota hai

    saf un se jawab hota hai

    roz qasid KHarab hota hai

    jism-e-KHaki ko chhoDti hai ruh

    ye gharaunda KHarab hota hai

    jo hi maKHluq shan-e-KHaliq hai

    ek ka bhi jawab hota hai

    nama-bar kahte hain na likho KHat

    muft kaghaz KHarab hota hai

    dekh lena ye gumbad-e-gardun

    koi din mein KHarab hota hai

    pijiye pijiye sharab kahin

    dil-e-sozan kabab hota hai

    hum se marte huon ko ai qatil

    zabh karna sawab hota hai

    ai qayamat na kar ziyaada shor

    'ashiqon se hisab hota hai

    dekh kar tifl-e-ashk ko bole

    aisa laDka KHarab hota hai

    hijr mein aa ke mere aankhon mein

    kya pareshan KHwab hota hai

    raham ai girya-e-shab-e-furqat

    KHun-e-chashm pur-ab hota hai

    fatiha paDh ke rona turbat par

    yar hum par 'azab hota hai

    un ke ruKH ke huzur KHajlat se

    aaina aab aab hota hai

    dekh kar aahuwan-e-chashm sanam

    zohra-e-sher aab hota hai

    hashr mein kyon hujum hai utna

    kya koi be-naqab hota hai

    'kaif' tauba karo mohabbat se

    nam-e-ulfat KHarab hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now