ishq jab zamzama-paira hoga
ishq jab zamzama-pairā hogā
husn ḳhud mahv-e-tamāshā hogā
sun ke āvāza-e-zanjīr-e-sabā
qafas-e-ġhuncha kā dar vā hogā
jaras-e-shauq agar saath rahī
har-nafas shahpar-e-anqā hogā
daa.im ābād rahegī duniyā
ham na hoñge koī ham sā hogā
kaun dekhegā tulū-e-ḳhurshī
zarra jab dīda-e-bīnā hogā
ham tujhe bhuul ke ḳhush baiThe haiñ
ham sā bedard koī kyā hogā
phir sulagne lagā sahrā-e-ḳhayāl
abr ghir kar kahīñ barsā hogā
phir kisī dhyān ke sad-rāhe par
dil-e-hairat-zadā tanhā hogā
phir kisī sub.h-e-tarab kā jaadū
parda-e-shab se huvaidā hogā
gul-zamīnoñ ke ḳhunuk ramnoñ meñ
jashn-e-rāmish-garī barpā hogā
phir na.ī rut kā ishāra pā kar
vo saman-bū chaman-ārā hogā
gul-shab-tāb kī ḳhushbū le kar
ablaq-e-sub.h ravāna hogā
phir sar-e-shāḳh-e-shuā-e-ḳhurshīd
nik.hat-e-gul kā baserā hogā
ik sadā sañg meñ taḌpī hogī
ik sharar phuul meñ larzā hogā
tujh ko har phuul meñ uryāñ sote
chāñdnī-rāt ne dekhā hogā
dekh kar ā.ina-e-āb-e-ravāñ
patta patta lab-e-goyā hogā
shaam se soch rahā huuñ 'nāsir'
chāñd kis shahr meñ utrā hogā
ishq jab zamzama-paira hoga
husn KHud mahw-e-tamasha hoga
sun ke aawaza-e-zanjir-e-saba
qafas-e-ghuncha ka dar wa hoga
jaras-e-shauq agar sath rahi
har-nafas shahpar-e-anqa hoga
daim aabaad rahegi duniya
hum na honge koi hum sa hoga
kaun dekhega tulu-e-KHurshi
zarra jab dida-e-bina hoga
hum tujhe bhul ke KHush baiThe hain
hum sa bedard koi kya hoga
phir sulagne laga sahra-e-KHayal
abr ghir kar kahin barsa hoga
phir kisi dhyan ke sad-rahe par
dil-e-hairat-zada tanha hoga
phir kisi subh-e-tarab ka jadu
parda-e-shab se huwaida hoga
gul-zaminon ke KHunuk ramnon mein
jashn-e-ramish-gari barpa hoga
phir nai rut ka ishaara pa kar
wo saman-bu chaman-ara hoga
gul-shab-tab ki KHushbu le kar
ablaq-e-subh rawana hoga
phir sar-e-shaKH-e-shua-e-KHurshid
nikhat-e-gul ka basera hoga
ek sada sang mein taDpi hogi
ek sharar phul mein larza hoga
tujh ko har phul mein uryan sote
chandni-raat ne dekha hoga
dekh kar aaina-e-ab-e-rawan
patta patta lab-e-goya hoga
sham se soch raha hun 'nasir'
chand kis shahr mein utra hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.