ishq ka ek ghar hamara hai
ishq kā ek ghar hamārā hai
baaqī sārā-jahāñ tumhārā hai
us se māñgo jo sab ko detā hai
muflisoñ kā vahī sahārā hai
ek kāñTā bhī chhū nahīñ sakte
yuuñ to saarā chaman hamārā hai
zindagī se hisāb kar lete
ham ko ehsās bas tumhārā hai
mere hamrāh jab nahīñ ho tum
mujh ko jiinā nahīñ gavārā hai
mujh ko gherā hai jab masā.ib ne
mere dil ne tumheñ pukārā hai
ishq ka ek ghar hamara hai
baqi sara-jahan tumhaara hai
us se mango jo sab ko deta hai
muflison ka wahi sahaara hai
ek kanTa bhi chhu nahin sakte
yun to sara chaman hamara hai
zindagi se hisab kar lete
hum ko ehsas bas tumhaara hai
mere hamrah jab nahin ho tum
mujh ko jina nahin gawara hai
mujh ko ghera hai jab masaib ne
mere dil ne tumhein pukara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.