ishq ka faisla nahin hota
ishq kā faisla nahīñ hotā
mudda.ā bhī adā nahīñ hotā
bhuul jaatā huuñ sab gunāh ke vaqt
jaise merā ḳhudā nahīñ hotā
kaun samjhegā dil kī betābi
us pe jab aasrā nahīñ hotā
ġhair se milte haiñ vo chhup chhup kar
goyā mujh ko patā nahīñ hotā
dam-e-āḳhir bhī vo na aa.e 'hayāt'
ye bhī mujh se gila nahīñ hotā
ishq ka faisla nahin hota
muddaa bhi ada nahin hota
bhul jata hun sab gunah ke waqt
jaise mera KHuda nahin hota
kaun samjhega dil ki betabi
us pe jab aasra nahin hota
ghair se milte hain wo chhup chhup kar
goya mujh ko pata nahin hota
dam-e-aKHir bhi wo na aae 'hayat'
ye bhi mujh se gila nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.