ishq ka marhala mere liye dushwar nahin
ishq kā marhala mere liye dushvār nahīñ
mere qisse meñ shahanshāh kā kirdār nahīñ
sang barsegā na logoñ kī malāmat hogī
merī duniyā meñ koī najd kā bāzār nahīñ
koī farhād nahīñ maiñ jo karūñ koh-kanī
mere anjām meñ teshe kā bhī kirdār nahīñ
romeo jaisā marūñ zahar-e-mohabbat khā kar
juliet sī koī laḌkī mujhe darkār nahīñ
hiir ke vāste jogī maiñ banūñ nā-mumkin
rāñjhe kī tarah bichhaḌne ko maiñ tayyār nahīñ
maiñ vo yūsuf nahīñ jo pākī-e-dāman dekhe
daur-e-hāzir meñ zuleḳhā kī bhī sarkār nahīñ
maiñ na.e daur kā āshiq huuñ mirā mauqif hai
ishq sansār meñ hai ishq hī sansār nahīñ
ghanToñ bāteñ maiñ karūñ haa.e hello likhtā rahūñ
garche shā.ir huuñ mirī jaan maiñ be-kār nahīñ
aaj milnā hai kahā piir ko us ne 'kāshif'
maiñ ne reply kiyā jaan ye itvār nahīñ
ishq ka marhala mere liye dushwar nahin
mere qisse mein shahanshah ka kirdar nahin
sang barsega na logon ki malamat hogi
meri duniya mein koi najd ka bazar nahin
koi farhad nahin main jo karun koh-kani
mere anjam mein teshe ka bhi kirdar nahin
romeo jaisa marun zahar-e-mohabbat kha kar
juliet si koi laDki mujhe darkar nahin
hir ke waste jogi main banun na-mumkin
ranjhe ki tarah bichhaDne ko main tayyar nahin
main wo yusuf nahin jo paki-e-daman dekhe
daur-e-hazir mein zuleKHa ki bhi sarkar nahin
main nae daur ka aashiq hun mera mauqif hai
ishq sansar mein hai ishq hi sansar nahin
ghanTon baaten main karun hae hello likhta rahun
garche shair hun meri jaan main be-kar nahin
aaj milna hai kaha pir ko us ne 'kashif'
main ne reply kiya jaan ye itwar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.