ishq ka pahla bab chal raha hai
ishq kā pahlā baab chal rahā hai
qais zer-e-ḳhitāb chal rahā hai
paḌh ke dukh-dard kī kitāb batā
kis kā kitnā hisāb chal rahā hai
āñsuoñ kī jhaḌī na lag jaa.e
aaj mausam ḳharāb chal rahā hai
tiir koī ḳhatā nahīñ hogā
tū abhī kāmyāb chal rahā hai
be-sabab to hañsī nahīñ aatī
dil meñ kuchh to janāb chal rahā hai
ānā-jānā lagā hai nīñdoñ kā
TukḌe TukḌe meñ ḳhvāb chal rahā hai
mujh se tum aise guftugū karte
merā Time ḳharāb chal rahā hai
ishq ka pahla bab chal raha hai
qais zer-e-KHitab chal raha hai
paDh ke dukh-dard ki kitab bata
kis ka kitna hisab chal raha hai
aansuon ki jhaDi na lag jae
aaj mausam KHarab chal raha hai
tir koi KHata nahin hoga
tu abhi kaamyab chal raha hai
be-sabab to hansi nahin aati
dil mein kuchh to janab chal raha hai
aana-jaana laga hai nindon ka
TukDe TukDe mein KHwab chal raha hai
mujh se tum aise guftugu karte
mera Time KHarab chal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.