ishq karta ki tere hijr se nafrat karta
ishq kartā ki tire hijr se nafrat kartā
bol kis aas pe maiñ terī himāyat kartā
zindagī roz nayā ruup dikhātī mujh ko
aur maiñ hañs ke use ḳhvāb vadī.at kartā
maiñ ki ik ism-e-mohabbat huuñ falak se utrā
maiñ tire vird meñ rahtā to karāmat kartā
dasht ke paar nayā dasht basātā dil kā
phir tire hijr meñ dil khol ke vahshat kartā
halqa-e-nīnd ke manzar meñ udāsī thī 'sa.īd'
maiñ vahāñ ḳhvāb sunātā to qayāmat kartā
ishq karta ki tere hijr se nafrat karta
bol kis aas pe main teri himayat karta
zindagi roz naya rup dikhati mujh ko
aur main hans ke use KHwab wadiat karta
main ki ek ism-e-mohabbat hun falak se utra
main tere wird mein rahta to karamat karta
dasht ke par naya dasht basata dil ka
phir tere hijr mein dil khol ke wahshat karta
halqa-e-nind ke manzar mein udasi thi 'said'
main wahan KHwab sunata to qayamat karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.