ishq ke jaan-nisar jite hain
ishq ke jāñ-nisār jiite haiñ
ba.ad marne ke yaar jiite haiñ
zahr-e-hasrat chashīdgān-e-firāq
haiñ muoñ meñ hazār jiite haiñ
dushmanoñ par tū teġh yaar na khīñch
abhī to dost-dār jiite haiñ
tū jahāñ jaa.e misl-e-āb-e-hayāt
murde ab ek baar jiite haiñ
ek din daav hai hamārā bhī
yahāñ baazī to yaar jiite haiñ
bin ajal koī mar nahīñ saktā
jī ko ham maar maar jiite haiñ
ġham-e-hijrāñ kī kuchh nahīñ pūchh 'razā'
shukr-e-parvardigār jiite haiñ
ishq ke jaan-nisar jite hain
baad marne ke yar jite hain
zahr-e-hasrat chashidgan-e-firaq
hain muon mein hazar jite hain
dushmanon par tu tegh yar na khinch
abhi to dost-dar jite hain
tu jahan jae misl-e-ab-e-hayat
murde ab ek bar jite hain
ek din daw hai hamara bhi
yahan bazi to yar jite hain
bin ajal koi mar nahin sakta
ji ko hum mar mar jite hain
gham-e-hijran ki kuchh nahin puchh 'raza'
shukr-e-parwardigar jite hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.