ishq ke panapne ko fasla zaruri hai
ishq ke panapne ko fāsla zarūrī hai
saaz ke dhaḌakne ko vāqi.a zarūrī hai
har judā.ī ke pīchhe koī raaz hotā hai
ḳhvāb ke bikharne ko vasvasa zarūrī hai
baat TuuT jaatī hai baat ko banāne meñ
baat ko banāne meñ hausla zarūrī hai
ḳhvāb ke samundar meñ naav Duub jaatī hai
ḳhvāb ko bachāne kā silsila zarūrī hai
'nāz' kī tabī.at ki ye na jaan pā.egī
dasht-e-dil sañvarne ko aabla zarūrī hai
ishq ke panapne ko fasla zaruri hai
saz ke dhaDakne ko waqia zaruri hai
har judai ke pichhe koi raaz hota hai
KHwab ke bikharne ko waswasa zaruri hai
baat TuT jati hai baat ko banane mein
baat ko banane mein hausla zaruri hai
KHwab ke samundar mein naw Dub jati hai
KHwab ko bachane ka silsila zaruri hai
'naz' ki tabiat ki ye na jaan paegi
dasht-e-dil sanwarne ko aabla zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.