ishq ke sahraon mein KHwabon ka ram
ishq ke sahrāoñ meñ ḳhvāboñ kā ram
ḳhema-e-gard-e-safar hai aur ham
mahmil-e-lailā sarāb andar sarāb
be-karāñ hai zaat ke sahrā kā ġham
shahr ābādī thakan malbūs ruuh
raushnī paiham añdherā har qadam
dasht chāh-e-ḳhushk khanDar aur saañp
qāfile kī muntazir hai chashm-e-nam
ishq ke sahraon mein KHwabon ka ram
KHema-e-gard-e-safar hai aur hum
mahmil-e-laila sarab andar sarab
be-karan hai zat ke sahra ka gham
shahr aabaadi thakan malbus ruh
raushni paiham andhera har qadam
dasht chah-e-KHushk khanDar aur sanp
qafile ki muntazir hai chashm-e-nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.