ishq ki aaj intiha kar do
ishq kī aaj intihā kar do
ruuh ko jism se judā kar do
hai ḳhulāsa yahī mohabbat kā
ho jo achchhā use burā kar do
ye jo āñkhoñ se ḳhuun jaarī hai
is ko hāthoñ kī tum hinā kar do
vaqt-e-ruḳhsat gale lagā lenā
āḳhirī baar ye ḳhatā kar do
tum mujhe chhoḌ kyuuñ nahīñ detī
apne haq meñ to faisla kar do
shabnamī raat ke añdhere ko
barahna jism kī qabā kar do
ab uThā do naqāb chehre se
raat ko chāñd se ḳhafā kar do
hai ki dushvār zindagī 'fahmī'
ḳhud ko bīmār bā-ḳhudā kar do
ishq ki aaj intiha kar do
ruh ko jism se juda kar do
hai KHulasa yahi mohabbat ka
ho jo achchha use bura kar do
ye jo aankhon se KHun jari hai
is ko hathon ki tum hina kar do
waqt-e-ruKHsat gale laga lena
aaKHiri bar ye KHata kar do
tum mujhe chhoD kyun nahin deti
apne haq mein to faisla kar do
shabnami raat ke andhere ko
barahna jism ki qaba kar do
ab uTha do naqab chehre se
raat ko chand se KHafa kar do
hai ki dushwar zindagi 'fahmi'
KHud ko bimar ba-KHuda kar do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.