ishq ki aisi shan to hogi
ishq kī aisī shaan to hogī
is se tirī pahchān to hogī
gaañv kī laḌkī kā kyā kahnā
kuchh nahīñ vo insān to hogī
us ke nagar meñ dil ke liye kuchh
sūrat-e-itmīnān to hogī
kuchh bhī kah lo dil kī ḳhalish ko
ziist kā ye unvān to hogī
dār-o-rasan ke afsānoñ meñ
kaif na hogā jaan to hogī
zer-e-lab vo mauj-e-tabassum
mere liye tūfān to hogī
hañstī huī vo chashm-e-suḳhan-go
ahl-e-dil kī jaan to hogī
'ramz' vo kāfir zulf-e-muattar
dil kā mire īmān to hogī
ishq ki aisi shan to hogi
is se teri pahchan to hogi
ganw ki laDki ka kya kahna
kuchh nahin wo insan to hogi
us ke nagar mein dil ke liye kuchh
surat-e-itminan to hogi
kuchh bhi kah lo dil ki KHalish ko
zist ka ye unwan to hogi
dar-o-rasan ke afsanon mein
kaif na hoga jaan to hogi
zer-e-lab wo mauj-e-tabassum
mere liye tufan to hogi
hansti hui wo chashm-e-suKHan-go
ahl-e-dil ki jaan to hogi
'ramz' wo kafir zulf-e-muattar
dil ka mere iman to hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.