ishq ki anjuman ki baat karen
ishq kī anjuman kī baat kareñ
phir kisī gul-badan kī baat kareñ
bhuul bhī jaa.eñ tīrgī-e-hayāt
muskurātī kiran kī baat kareñ
is jahāñ se ḳhizāñ kā daur gayā
lahlahāte chaman kī baat kareñ
kyā zarūrī hai jū-e-shīr kī baat
kyuuñ na gañg-o-jaman kī baat kareñ
surḳh āñchal meñ kasmasā.ī huī
sub.h kī is dulhan kī baat kareñ
sāthiyo gaao inqilābī giit
aao dār-o-rasan kī baat kareñ
ishq ki anjuman ki baat karen
phir kisi gul-badan ki baat karen
bhul bhi jaen tirgi-e-hayat
muskuraati kiran ki baat karen
is jahan se KHizan ka daur gaya
lahlahate chaman ki baat karen
kya zaruri hai ju-e-shir ki baat
kyun na gang-o-jaman ki baat karen
surKH aanchal mein kasmasai hui
subh ki is dulhan ki baat karen
sathiyo gao inqilabi git
aao dar-o-rasan ki baat karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.