ishq ki baat wafaon ki kahani rakh de
ishq kī baat vafāoñ kī kahānī rakh de
ho ga.ī aaj har ik rasm purānī rakh de
muntazir hai mirī peshānī kisī sūraj kī
apne hoñToñ se jo tū ek nishānī rakh de
guftugū merī mirā dost samajhtā hī nahīñ
us ke dil meñ mire lafzoñ ke ma.ānī rakh de
vo bhī sairāb hoñ sadiyoñ se jo pyāse hī rahe
ḳhushk sahrāoñ meñ dariyāoñ kā paanī rakh de
maiñ 'sharar' bolūñ to aivān-e-siyāsat jal jaa.e
mere alfāz meñ vo sho.ala-bayānī rakh de
ishq ki baat wafaon ki kahani rakh de
ho gai aaj har ek rasm purani rakh de
muntazir hai meri peshani kisi suraj ki
apne honTon se jo tu ek nishani rakh de
guftugu meri mera dost samajhta hi nahin
us ke dil mein mere lafzon ke maani rakh de
wo bhi sairab hon sadiyon se jo pyase hi rahe
KHushk sahraon mein dariyaon ka pani rakh de
main 'sharar' bolun to aiwan-e-siyasat jal jae
mere alfaz mein wo shoala-bayani rakh de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.