ishq ki bimari hai jinko dil hi dil mein galte hain
ishq kī bīmārī hai jin ko dil hī dil meñ galte haiñ
murde haiñ vo haqīqat meñ zāhir meñ phirte chalte haiñ
jab raah meñ mil ga.e kahne lage tere hī ghar meñ jaatā thā
jaao chale laḌkā tū nahīñ maiñ mujh ko apne machalte haiñ
auroñ ke lagāne-bujhāne se itnā jalāte ho mujh ko
Dariye hamārī aahoñ se ham log bhī jalte-balte haiñ
sab kahte haiñ un ke muñh meñ to āb-e-hayāt bharā hai sab
ham se jo karte haiñ bāteñ phir kyuuñ zahr ugalte haiñ
kaise hī dard kā sher paḌheñ ve yuuñ bhī na pūchhe kyā bak ga.e
jin ke dil patthar haiñ so kab in bātoñ se pighalte haiñ
bas kariye chup rahiye ab khulvānā rāzoñ kā ḳhuub nahīñ
malte haiñ ham haath paḌe koī aur kuchh aur hī malte haiñ
mere ashk-e-surḳh se tum yuuñ ġhāfil ho afsos afsos
dekho to ye la.al ke TukḌe kaise ḳhaak meñ rulte haiñ
shāyad aate jaate phir us ḳhāna-jañg se bigḌī hai
ghar se bahut kam mīr-'razā'-jī ab in rozoñ nikalte haiñ
ishq ki bimari hai jin ko dil hi dil mein galte hain
murde hain wo haqiqat mein zahir mein phirte chalte hain
jab rah mein mil gae kahne lage tere hi ghar mein jata tha
jao chale laDka tu nahin main mujh ko apne machalte hain
auron ke lagane-bujhane se itna jalate ho mujh ko
Dariye hamari aahon se hum log bhi jalte-balte hain
sab kahte hain un ke munh mein to aab-e-hayat bhara hai sab
hum se jo karte hain baaten phir kyun zahr ugalte hain
kaise hi dard ka sher paDhen we yun bhi na puchhe kya bak gae
jin ke dil patthar hain so kab in baaton se pighalte hain
bas kariye chup rahiye ab khulwana raazon ka KHub nahin
malte hain hum hath paDe koi aur kuchh aur hi malte hain
mere ashk-e-surKH se tum yun ghafil ho afsos afsos
dekho to ye lal ke TukDe kaise KHak mein rulte hain
shayad aate jate phir us KHana-jang se bigDi hai
ghar se bahut kam mir-'raza'-ji ab in rozon nikalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.