ishq ki dhup mein hum to jalte rahe
ishq kī dhuup meñ ham to jalte rahe
aable paḌ ga.e phir bhī chalte rahe
ik charāġh-e-mohabbat jalā thā kahīñ
sham.a kī tarah ham bhī pighalte rahe
be-hijābāna mahfil meñ vo aa ga.e
aur divānoñ ke armāñ machalte rahe
tang-hālī meñ puure nahīñ ho sake
ḳhvāb muflis kī āñkhoñ meñ palte rahe
intihā ho ga.ī vahshiyoñ kī yahāñ
kitnī ma.asūm kaliyāñ masalte rahe
sādgī hī hamārī sabab ban ga.ī
mere apne hī sab mujh ko chhalte rahe
ishq ne itnā be-bas hameñ kar diyā
jhūTe va.adoñ se un ke bahalte rahe
ishq ki dhup mein hum to jalte rahe
aable paD gae phir bhi chalte rahe
ek charagh-e-mohabbat jala tha kahin
shama ki tarah hum bhi pighalte rahe
be-hijabana mahfil mein wo aa gae
aur diwanon ke arman machalte rahe
tang-haali mein pure nahin ho sake
KHwab muflis ki aankhon mein palte rahe
intiha ho gai wahshiyon ki yahan
kitni masum kaliyan masalte rahe
sadgi hi hamari sabab ban gai
mere apne hi sab mujh ko chhalte rahe
ishq ne itna be-bas hamein kar diya
jhuTe wadon se un ke bahalte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.