ishq ki diwangi miT jaegi
ishq kī dīvāngī miT jā.egī
yā kisī kī zindagī miT jā.egī
ḳhatm ho jā.egā jab qissa huzūr
aap kī hairāngī miT jā.egī
aap bhī ro.eñge shāyad zār-zār
phuul jaisī ye hañsī miT jā.egī
ek din bujh jā.eñge ye mahr o maah
yā nazar kī raushnī miT jā.egī
yā fanā ho jā.eñgī galiyāñ tirī
yā mirī āvāz hī miT jā.egī
husn bhī barbād ho jā.egā dost
aur dil kī dil-kashī miT jā.egī
is qadar ābād ho jā.eñge log
hasrat-e-tāmīr hī miT jā.egī
ishq ki diwangi miT jaegi
ya kisi ki zindagi miT jaegi
KHatm ho jaega jab qissa huzur
aap ki hairangi miT jaegi
aap bhi roenge shayad zar-zar
phul jaisi ye hansi miT jaegi
ek din bujh jaenge ye mahr o mah
ya nazar ki raushni miT jaegi
ya fana ho jaengi galiyan teri
ya meri aawaz hi miT jaegi
husn bhi barbaad ho jaega dost
aur dil ki dil-kashi miT jaegi
is qadar aabaad ho jaenge log
hasrat-e-tamir hi miT jaegi
- Book : Wajah-e-Begangi (Pg. 73)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.