ishq ki garmi-e-jazbaat kise pesh karun
ishq kī garmi-e-jazbāt kise pesh karūñ
ye sulagte hue din-rāt kise pesh karūñ
husn aur husn kā har naaz hai parde meñ abhī
apnī nazroñ kī shikāyāt kise pesh karūñ
terī āvāz ke jaadū ne jagāyā hai jinheñ
vo tasavvur vo ḳhayālāt kise pesh karūñ
ai mirī jān-e-ġhazal ai mirī īmān-e-ġhazal
ab sivā tere ye naġhmāt kise pesh karūñ
koī hamrāz to pā.ūñ koī hamdam to mile
dil kī dhaḌkan ke ishārāt kise pesh karūñ
ishq ki garmi-e-jazbaat kise pesh karun
ye sulagte hue din-raat kise pesh karun
husn aur husn ka har naz hai parde mein abhi
apni nazron ki shikayat kise pesh karun
teri aawaz ke jadu ne jagaya hai jinhen
wo tasawwur wo KHayalat kise pesh karun
ai meri jaan-e-ghazal ai meri iman-e-ghazal
ab siwa tere ye naghmat kise pesh karun
koi hamraaz to paun koi hamdam to mile
dil ki dhaDkan ke ishaaraat kise pesh karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.